اردو हिंदी
Ghair-mumkin bhi hai mumkin mujhe malum na tha | Shaahi Shayari
ghair-mumkin bhi hai mumkin mujhe malum na tha

Ghazal

Ghair-mumkin bhi hai mumkin mujhe malum na tha

Bismil Saeedi

;

ghair-mumkin bhi hai mumkin mujhe malum na tha
ek din aaega ye din mujhe malum na tha

aur kuchh main tere zahir se samajhta tha tujhe
aur kuchh hai tera baatin mujhe malum na tha

apne daman-e-tasannoa mein chhupa sakte hain
un maaib ko mahasin mujhe malum na tha

dushmani ke liye maKHsus hai jo tarz-e-amal
dosti mein hai wo mumkin mujhe malum na tha

aah ho sakti hai bedad pe mail wo nazar
ho jo altaf ki zamin mujhe malum na tha

umr-bhar sabr na aaega mujhe jis ke baghair
chain paega wo mujh bin mujhe malum na tha

bahama garmi-e-dil nabz-e-mohabbat ek din
ho ke rah jaegi sakin mujhe malum na tha

aah is umr-e-mohabbat mein kabhi ai 'bismil'
ek din aaega ye din mujhe malum na tha