ghair ko munh laga ke dekh liya
jhuT sach aazma ke dekh liya
un ke ghar 'dagh' ja ke dekh liya
dil ke kahne mein aa ke dekh liya
kitni farhat-faza thi bu-e-wafa
us ne dil ko jala ke dekh liya
kabhi ghash mein raha shab-e-wada
kabhi gardan uTha ke dekh liya
jins-e-dil hai ye wo nahin sauda
har jagah se manga ke dekh liya
log kahte hain chup lagi hai tujhe
haal-e-dil bhi suna ke dekh liya
jao bhi kya karoge mehr-o-wafa
bar-ha aazma ke dekh liya
zaKHm-e-dil mein nahin hai qatra-e-KHun
KHub hum ne dikha ke dekh liya
idhar aaina hai udhar dil hai
jis ko chaha uTha ke dekh liya
un ko KHalwat-sara mein be-parda
saf maidan pa ke dekh liya
us ne subh-e-shab-e-visal mujhe
jate jate bhi aa ke dekh liya
tum ko hai wasl-e-ghair se inkar
aur jo hum ne aa ke dekh liya
'dagh' ne KHub aashiqi ka maza
jal ke dekha jala ke dekh liya
Ghazal
Ghair ko munh laga ke dekh liya
Dagh Dehlvi