ghair ki KHatir se tum yaron ko dhamkane lage
aa ke mere ru-ba-ru talwar chamkane lage
ji mein kya guzra tha kal jo aap rakh qabze pe hath
KHub sa ghure mujhe aur tan ke bal khane lage
dil talab mujh se kiya main ne kaha hazir nahin
ye ghazab dekho machal kar panw phailane lage
qatl kar kar ye nahin malum kya guzra KHayal
dekh wo bismil mujhe kuchh haif sa khane lage
yar mujh ko dekh za rona to un sa hijr mein
mushfiqana kuchh nasihat jabki farmane lage
jal ke 'rangin' main ne ye misra 'tajalli' ka paDha
dil ko samjhao mujhe kya aa ke samjhane lage
Ghazal
Ghair ki KHatir se tum yaron ko dhamkane lage
Rangin Saadat Yaar Khan