ghair ki aag mein koi bhi na jalna chahe
ek parwana jo ye rit badalna chahe
dil ki har gahre samundar mein utarna chahe
tez-rau umr ki dam-bhar na Thaharna chahe
qismat aisi ki jo apne the hue begane
aur dil wo jo kisi se na bichhaDna chahe
zarra zarra jise ek umr sameTa hai wo zat
sirf ek Thes pahunchne pe bikharna chahe
zaKHm har sang-e-malamat abhi taza hai ye dil
phir usi ku-e-malamat se guzarna chahe

Ghazal
Ghair ki aag mein koi bhi na jalna chahe
Shahid Ishqi