اردو हिंदी
Ghair ke KHat mein mujhe un ke payam aate hain | Shaahi Shayari
ghair ke KHat mein mujhe un ke payam aate hain

Ghazal

Ghair ke KHat mein mujhe un ke payam aate hain

Mohammad Deen Taseer

;

ghair ke KHat mein mujhe un ke payam aate hain
koi mane ki na mane mere nam aate hain

aafiyat-kosh musafir jinhen manzil samjhen
ishq ki rah mein aise bhi maqam aate hain

ab mere ishq pe tohmat hai hawas-kari ki
muskuraate hue ab wo lab-e-baam aate hain

ab nae rang ke sayyaad hain is gulshan mein
said ke sath jo baDh ke tah-e-baam aate hain

dawar-e-hashr mera nama-e-amal na dekh
is mein kuchh parda-nashinon ke bhi nam aate hain

jin ko KHalwat mein bhi 'tasir' na dekha tha kabhi
mahfil-e-ghair mein ab wo sar-e-am aate hain