اردو हिंदी
Ghair ke hath mein us shoKH ka daman hai aaj | Shaahi Shayari
ghair ke hath mein us shoKH ka daman hai aaj

Ghazal

Ghair ke hath mein us shoKH ka daman hai aaj

Taban Abdul Hai

;

ghair ke hath mein us shoKH ka daman hai aaj
main hun aur hath mera aur ye gareban hai aaj

laTpaTi chaal khule baal KHumari ankhiyan
main tasadduq hun meri jaan ye kya aan hai aaj

kab talak rahiye tere hijr mein paband-e-libas
kijiye tark-e-talluq hi ye arman hai aaj

aaine ko teri surat se na ho kyun kar hairat
dar o diwar tujhe dekh ke hairan hai aaj

aashiyan bagh mein aabaad tha kal bulbul ka
hae 'taban' ye sabab kya hai ki viran hai aaj