ghair ke ghar tu na rah raat ko mehman kahin
ta na is baat ka charcha ho meri jaan kahin
ab talak ghunche ki gardan hai jhuki KHajlat se
us ne dekhi thi teri gue-gireban kahin
raaz-e-dil us se kaha main to wale ye Dar hai
ki mere raaz ko kah de na wo nadan kahin
ai pareshani-e-zulf-e-sanam-e-kafir-e-kesh
kijiyo tu na mere dil ko pareshan kahin
dil ki bechaini se main saKHt ba-tang aaya hun
chain paDta hi nahin hai ise ek aan kahin
dhani joDe ne tere khet rakha hai mujh ko
sabz rang itne to dekhe nahin hain dhan kahin
mana kis waste karta hai main tere sadqe
id ke din to mujhe hone de qurban kahin
dard-e-dil ja ke main kah lun abhi dar ke nazdik
ek saat ko hi uTh jawe jo darban kahin
'mushafi' ek ghazal aur bhi main likhta hun
ye to baiten kai main ne bahut aasan kahin
Ghazal
Ghair ke ghar tu na rah raat ko mehman kahin
Mushafi Ghulam Hamdani

