ghair ke ghar sahi wo aaya to
gham hi mere liye wo laya to
dushmanon ko muaf kar Dala
doston se fareb khaya to
peD ke ghonslon ka kya hoga
ghar use kaT kar banaya to
phir mere samne thi ek diwar
ek diwar ko giraya to
kis qadar zor se hui barish
main ne kaghaz ka ghar banaya to
kya karoge 'naim' sal-e-nau
pesh-rau ki tarah hi aaya to
Ghazal
Ghair ke ghar sahi wo aaya to
Naeem Zarrar Ahmad