ghair ke dil mein na ja kijiyega
meri aankhon mein raha kijiyega
kasa-e-chashm ko le dar pe tere
be-nawa ya na sada kijiyega
zairan-e-haram-o-dair kabhu
mere haq mein bhi dua kijiyega
wae is apni siyah-baKHti par
KHwahish-e-zulf-e-rasa kijiyega

Ghazal
Ghair ke dil mein na ja kijiyega
Sanaullah Firaq