ghair ke aage ye sar KHam dekhiye kab tak rahe
be-hisi ka ab ye aalam dekhiye kab tak rahe
dost aur dushman ke chehre ta-ba-kai wazeh na hon
dip ki lau itni maddham dekhiye kab tak rahe
kab duaen mustajab hon kab hamare din phiren
dil pareshan aankh pur-nam dekhiye kab tak rahe
raushni ke jashn mein hael na the shab ke rafiq
chand tare aur shabnam dekhiye kab tak rahe
jo muharrik hai mere taKHliq-e-fan ke waste
fikr mein ye shiddat-e-gham dekhiye kab tak rahe
kaise kaise sar-kashida jhuk gae ek war se
han magar sina-sipar hum dekhiye kab tak rahe
barf bhi pighlegi aur suraj bhi chamkega zarur
sard-mehri ka ye mausam dekhiye kab tak rahe

Ghazal
Ghair ke aage ye sar KHam dekhiye kab tak rahe
Murtaza Birlas