ghair hanste hain faqat is liye Tal jata hun
main bayabanon mein rone ko nikal jata hun
josh wahshat ka hua mausam-e-gul aa pahuncha
kuchh dinon hosh mein rahta hun sambhal jata hun
apni ruKHsat hai buton se bhi ab insha-allah
dair se su-e-haram aaj hi kal jata hun
kucha-e-qatil-e-be-rahm jise kahte hain
main wahan dauD ke mushtaq-e-ajal jata hun
jab nikalne nahin dete hain mujhe zindan se
apne aape se main na-chaar nikal jata hun
ghair albatta tere panw mein malte hain hina
main to aa kar kaf-e-afsos hi mal jata hun
main jo rota hun to kahta hai na kar bad-shaguni
baat kahta hai wo aisi ki dahal jata hun
dost hota hai to hota hai wo dushman ai 'mehr'
wo badal jata hai ya kuchh main badal jata hun
Ghazal
Ghair hanste hain faqat is liye Tal jata hun
Hatim Ali Mehr