ghair-abaad ilaqe ki faza kaisi hai
dil se uThti hai jo rah rah ke sada kaisi hai
mere pairon se lipaTti hi rahi mauj-e-rawan
ret se kar na saki mujh ko juda kaisi hai
TuT kar aai hai lahrai hai chaaron jaanib
ye barasti hi nahin kali ghaTa kaisi hai
pattiyan dhup mein kumhla gain phike hue rang
chhanw utri hi nahin aab-o-hawa kaisi hai
basi phulon ko na jhulsae to suraj kaisa
taza kaliyan na khilae to saba kaisi hai
kyun nahin girte saron pe ye hawa ke neze
gharq karti hi nahin mauj-e-fana kaisi hai
zard alfaz ka zahrila bhayanak aaseb
mere ghar chhoD gai meri sada kaisi hai
shahr-e-afsun mujhe aawaz de patthar kar de
main ise dekh to lun meri KHata kaisi hai

Ghazal
Ghair-abaad ilaqe ki faza kaisi hai
Abdur Rahim Nashtar