gai ruton ko bhi yaad rakhna nai ruton ke bhi bab paDhna
gulab-chehron ne jo likhi hai tamazaton ki kitab paDhna
tamam rangon ki ek rangat tamam mausam ki ek nighat
tamam chehre hasin likhna tamam aankhen sarab paDhna
har ek aangan KHamosh pahre har ek lab par sukut tari
hamare ghar ghar jo TuTte hain qayamaton ke azab paDhna
khuli fazaon mein par-kushai mere lahu ka KHamir Thahri
magar mere un kaTe paron mein uDan ke iztirab paDhna
mere KHayalon mein aaj bhi hain wo bankpan ki mahakti raaten
kisi ki aankhon se jam pina kisi badan ke gulab paDhna
bas ek rasta hai guftugu ka bas ek surat hai rabte ki
KHaton mein un se sawal karna KHaton mein un ke jawab paDhna
'hasan' hamari udas aankhen kisi ki aankhon se kah rahi hain
jo hum ne tum ne kabhi bune the visal-lamhon ke KHwab paDhna
Ghazal
Gai ruton ko bhi yaad rakhna nai ruton ke bhi bab paDhna
Hasan Rizvi