اردو हिंदी
Gai nahin tere zulm-o-sitam ki KHu ab tak | Shaahi Shayari
gai nahin tere zulm-o-sitam ki KHu ab tak

Ghazal

Gai nahin tere zulm-o-sitam ki KHu ab tak

Sanjay Mishra Shauq

;

gai nahin tere zulm-o-sitam ki KHu ab tak
Tapak raha hai meri aankh se lahu ab tak

na jaane kab se hai mere labon pe tera nam
isi sabab se to TuTa nahin wuzu ab tak

tamam umr gulistan mein kaT gai lekin
hua nahin mujhe aur ek rang-o-bu ab tak

kisi bhi sher ko hasil hui na zarKHezi
main DhunDhta raha sahraon mein numu ab tak

khuli sarae ke jaisa hai ye badan apna
aur is sarae mein chalti rahi hai lu ab tak

tasawwuraat ke KHemon ko raushni mil jae
isi KHayal ki hai dil mein aarzu ab tak

kiye the 'shauq' jo mere jawan beTe ne
wo dil ke chaak hue hi nahin rafu ab tak