gai jo tifli to phir aalam-e-shabab aaya
gaya shabab to ab mausam-e-KHizab aaya
main shauq-e-wasl mein kya rail par shitab aaya
ki subh hind mein tha sham panj-ab aaya
kaTa tha roz-e-musibat KHuda KHuda kar ke
ye raat aai ki sar pe mere azab aaya
kahan hai dil ko abas DhunDhte ho pahlu mein
tumhaare kuche mein muddat se us ko dab aaya
kisi ki tegh-e-taghaful ka main wo kushta hun
na jaga neze pe sau bar aaftab aaya
nazar paDi na meri roab-e-husn se ruKH par
agarche samne mere wo be-naqab aaya
hamesha surat-e-anjum khuli rahin aankhen
firaq-e-yar mein kis rose mujh ko KHwab aaya
hua yaqin ki zamin par hai aaj chand-gahan
wo mah chehre pe jab Dal kar naqab aaya
hue jo dida-e-girya se apne ashk rawan
guman hua ki barasta hua sahab aaya
bana tasawwur-e-laila ba-surat-e-taswir
kabhi jo qais ki aankhon mein shab ko KHwab aaya
wo zud-ranj hai us ko na chheDna 'rana'
maloge hath agar bar-sar-e-itab aaya
Ghazal
Gai jo tifli to phir aalam-e-shabab aaya
Mardan Ali Khan Rana