gai hai sham abhi zaKHm zaKHm kar ke mujhe
ab aur KHwab nahin dekhne sahar ke mujhe
hun mutmain ki hun aasuda-e-gham-e-jaanan
majal kya ki KHushi dekhe aankh bhar ke mujhe
kahan milegi bhala is sitamgari ki misal
taras bhi khata hai mujh par tabah kar ke mujhe
main rah na jaun kahin tera aaina ban kar
ye dekhna nahin achchha sanwar sanwar ke mujhe
in aansuon se bhala mera kya bhala hoga
wo mere baad jo roya bhi yaad kar ke mujhe
khula bhi ab dar-e-zindan to jaunga main kahan
ki raste hi nahin yaad apne ghar ke mujhe
hunar-wari faqat ezaz-baKHsh kab hai 'waqar'
chukane paDte hain kuchh qarz bhi hunar ke mujhe
Ghazal
Gai hai sham abhi zaKHm zaKHm kar ke mujhe
Waqar Manvi