gai fasl-e-bahaar gulshan se
bulbulon uD chalo nasheman se
fatiha bhi paDha na turbat par
ja ke lauT aae meri madfan se
mujh ko kafi thi qaid-e-halqa-e-zulf
beDiyan kyun banain aahan se
zulf ke pech se na rah ghafil
dosti kar dila na dushman se
ho gareban ka chaak KHak rafu
tar hath aae jab na daman se
naz-o-ishwa naya nahin sikha
shoKH tarrar hai laDakpan se
chhoD kar tum agar gae tanha
ji nikal jaega mere tan se
hai kai din se muntazir 'rana'
jalwa dikhlao aa ke chilman se
Ghazal
Gai fasl-e-bahaar gulshan se
Mardan Ali Khan Rana