gahri suni rah aur tanha sa main
raat apni chap se Darta sa main
tu ki mera aaina hota hua
aur tere aks mein Dhalta sa main
kab tere kuche se kar jaana hai kuch
is tasawwur se hi ghabraata sa main
meri rahon ke liye manzil tu hi
tere qadmon ke liye rasta sa main
aasman mein rang bikhraata sa tu
aur sarapa did ban jata sa main
hasrat-e-tabir se chhuTun kabhi
har nafas is KHwab mein jalta sa main
be-karan hota hua dasht-e-guman
aur yaqin ke dar par aaya sa main
na koi manzar na ab koi KHayal
ab har ek shai bhulta jata sa main
Ghazal
Gahri suni rah aur tanha sa main
Akram Naqqash