اردو हिंदी
Gahri aaankhon mein ye kaisi hai bichhaDti mahfilon ki raushni | Shaahi Shayari
gahri aaankhon mein ye kaisi hai bichhaDti mahfilon ki raushni

Ghazal

Gahri aaankhon mein ye kaisi hai bichhaDti mahfilon ki raushni

Mohammad Ajmal Niyazi

;

gahri aaankhon mein ye kaisi hai bichhaDti mahfilon ki raushni
ajnabi logon mein dekhi main ne apne doston ki raushni

manzilon par wo pahunch kar bhi abhi tak manzilon jaisa nahin
us ki sochon se bandhi hai raste ke manzaron ki raushni

us ke mere darmiyan pakizgi ka raqs to hota nahin
ek parde ki tarah rahti hai nangi KHwahishon ki raushni

main ne us ko KHwab mein dekha to wo ek aur hi duniya mein tha
us ke har jaanib bikharti ja rahi thi rat-jagon ki raushni

ab to us ka dard bhi 'ajmal' samundar ki tarah gahra nahin
is jazire mein bhaTakti hai akele sahilon ki raushni