gahraiyon se mujh ko kisi ne nikal ke
phenka hai aasman ki jaanib uchhaal ke
main ne zamin ko nap liya aasman tak
nazron mein fasle hain uruj-o-zawal ke
chehre har ek se puchh rahe hain koi jawab
shoalon pe kuchh nishan lage hain sawal ke
log mein ab wo charb-zabani nahin rahi
ya hijr mein udas hain qisse visal ke
har shaKHs se mila hun baDi ehtiyat se
har shaKHsiyyat ko main ne paDha hai sambhaal ke
ab shairi se sirf hai lafzon ka wasta
rishte tamam ho gae fikr-o-KHayal ke
Ghazal
Gahraiyon se mujhko kisi ne nikal ke
Ahmad Wasi