gah mashq-e-sitam gah-e-karam yaad karenge
jab tak bhi jiyenge tumhein hum yaad karenge
jab zikr chhiDega kahin arbab-e-wafa ka
apne dil-e-marhum ko hum yaad karenge
dil apna hai dil par to nahin zor kisi ka
kabe mein bhi hum tujh ko sanam yaad karenge
jo sajda-gah-e-ishq ki rifat se hain waqif
wo log mera naqsh-e-qadam yaad karenge
tauqir baDhai hai mere sajdon ne un ki
ek umr mujhe dair-o-haram yaad karenge
jab baat chhiDegi kahin arbab-e-nazar ki
'saqi' ko bahut ahl-e-qalam yaad karenge
Ghazal
Gah mashq-e-sitam gah-e-karam yaad karenge
Aulad Ali Rizvi