gagan mein jab apna sitara na dekha
to jine ka koi sahaara na dekha
nazar hai, magar wo nazar kya ki jis ne
KHud apni nazar ka nazara na dekha
bhale wo Dubae ubhaare ki hum ne
bhanwar dekh li to kinara na dekha
wo bas nam ka aaina hai ki jis ne
kabhi husn ko KHud sanwara na dekha
tumhein jab se dekha, tumhein dekhte hain
kabhi muD ke KHud ko dobara na dekha
sabhi nafraton ki dawa hai mohabbat
ki is se alag koi chaara na dekha
main baadal mein roya, hansa bijliyon mein
kisi ne ye mera ishaara na dekha
'kunwar' hum usi ke hue ja rahe hain
jise hum ne ab tak pukara na dekha
Ghazal
Gagan mein jab apna sitara na dekha
Kunwar Bechain