اردو हिंदी
Ghaflat mein soya ab tilak phir howega hoshyar kab | Shaahi Shayari
ghaflat mein soya ab tilak phir howega hoshyar kab

Ghazal

Ghaflat mein soya ab tilak phir howega hoshyar kab

Alimullah

;

ghaflat mein soya ab tilak phir howega hoshyar kab
yari lagaya KHalq sun pawega apna yar kab

jhuTi mohabbat bandh kar ghafil raha apne sun haif
bulbul hun sanpDa dam mein dekhega phir gulzar kab

ye KHwab-o-KHur farzand-o-zan aur mal-o-zar zindan hua
to chhuT kar is qaid sun hasil kare didar kab

hirs-o-hawa bughz-o-hasad kibr-o-mani buKHl o jahal
is rah-zanan sun bach kar howega bar-KHurdar kab

is nafs-e-kafir-kesh ki KHaslat tujhe malum nahin
gar qatl kita nahin use tujh ko mile dildar kab

bin pir pahuncha nahin kabhi kui sahil-e-maqsud ko
mallah bin kashti kahin hoti hai dariya par kab

bar-haq 'alimullah' kaha rab qaul yahdi-main-yasha
jannat ke talib ko kaho aawe nazar didar kab