اردو हिंदी
Ghaflat mein hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya | Shaahi Shayari
ghaflat mein hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya

Ghazal

Ghaflat mein hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya

Shad Azimabadi

;

ghaflat mein hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya
sab chalne ke the saman baham chalne hi ka saman kuchh na kiya

waiz ne bhare KHam chur kiye tar kar di zamin ai pir-e-mughan
zalim ne zara bhi tera lihaz ai rahbar-e-iman kuchh na kiya

aamal ki zishti ka badla main kah nahin sakta kya milta
bheja bhi agar dozaKH mein tujhe ai sahab-e-iman kuchh na kiya

mai pine ka dil mein josh na tha zahir ki talab thi hosh mein aa
saqi ne milaya zahar agar ai munkir-e-ehsan kuchh na kiya

mana ki baDi saffak hai tu bil-farz baDi jallad hai tu
main jita raha ta-subh agar to ai shab-e-hijran kuchh na kiya

taklif kisi ko gar pahunchi tu is mein takalluf kya nikla
hairan jo rakha qatil ko to ai shab-e-hijran kuchh na kiya

ulTa na iraq-o-sham-o-halab duniya na hui viran to kya
jal-thal na lahu se to ne bhara to KHun-e-musalman kuchh na kiya

sunta hun adu ko KHak kiya miTTi mein milaya ghar us ka
phunka na jala kar mujh ko agar tu ai shab-e-hijran kuchh na kiya

kya ji ke karunga main tanha yan tab kahan baqi dil ko
be-maut ke ab mara na mujhe to dagh-e-azizan kuchh na kiya

jumbish se teri maqtal hota ek aan mein dasht-e-karb-o-bala
ushshaq ki bebaki ka ewaz ai abru-e-barran kuchh na kiya

ai nang-e-jahan ai 'shad' bata kuchh sharm bhi tujh ko hai ki nahin
ai jehl-e-murakkab ai haiwan ai be-KHabar insan kuchh na kiya