ghaflat mein farq apni tujh bin kabhu na aaya
hum aap ke na aae jab tak ki tu na aaya
saqi ne jam-e-mai to shab pai-ba-pai diya par
niyyat bhari na apni jab tak subu na aaya
kotah hai nihayat dast-e-dua hamara
daman asar ka ja kar ek bar chhu na aaya
aashiq ko tere kal se thi jaan-kani ki haalat
sab dekhne ko aae allah tu na aaya
phunka bhi tur-o-wadi baz ai 'KHaliq' lekin
apni shararaton se wo shoala-KHu na aaya
Ghazal
Ghaflat mein farq apni tujh bin kabhu na aaya
Meer Mustahsan Khaleeq