gae the wahan ji mein kya Than kar ke
chale aae iran turan kar ke
agar dil ka bil-farz gul nam paD jae
to phir hai ye sina gulistan kar ke
diya hum ne dil un pari-chehragan ko
zaru-e-qayas aadmi jaan kar ke
ye duniya hamein KHush na aaegi phir bhi
rahen KHwah KHud ko sulaiman kar ke
tere gham mein jis se mizha tar karun hun
wo ek qatra hai qulzumistan kar ke
dikha hi diya aaKHirash ahl-e-dil ne
isi dane se khet khaliyan kar ke
ye kya chiz tamir karne chale ho
bina-e-mohabbat ko viran kar ke
miyan hum to 'jawed' ko le gae the
diya hi nahin us ne pahchan kar ke
Ghazal
Gae the wahan ji mein kya Than kar ke
Ahmad Javed