gae the shauq se hum bhi ye duniya dekhne ko 
mila hum ko hamara hi tamasha dekhne ko 
khaDe hain rah chalte log kitni KHamushi se 
saDak par marne walon ka tamasha dekhne ko 
bahut se aaina-KHane hain isi basti mein lekin 
tarasti hai hamari aankh chehra dekhne ko 
kamanon mein khinche hain tir talwaren hain chamki 
zara Thahro kahan jate ho dariya dekhne ko 
KHuda ne mujh ko bin-mange ye neamat di hai 'manzar' 
taraste hain bahut se log mamta dekhne ko
        Ghazal
Gae the shauq se hum bhi ye duniya dekhne ko
Manzar Bhopali

