gae mausamon ko bhula denge hum
khanDar ka diya bhi bujha denge hum
abhi sirf chehron ko paDhte raho
kahani kisi din suna denge hum
dabi aag sunte hain bujhti nahin
tujhe KHak-e-dil ab uDa denge hum
zamane hamara suKHan pas rakh
tujhe aur ghurbat mein kya denge hum
miTe habs-e-jaan koi lab to hile
uDi baat ko ab hawa denge hum
nazar hum pe rakhta hai sahra 'suhail'
ye Dar hai kahin gul khila denge hum
Ghazal
Gae mausamon ko bhula denge hum
Suhail Ahmed Zaidi