gae mausam mein jo khilte the gulabon ki tarah
dil pe utrenge wahi KHwab azabon ki tarah
rakh ke Dher pe ab raat basar karni hai
jal chuke hain mere KHeme mere KHwabon ki tarah
saat-e-did ki aariz hain gulabi ab tak
awwalin lamhon ke gulnar hijabon ki tarah
wo samundar hai to phir ruh ko shadab kare
tishnagi kyun mujhe deta hai sarabon ki tarah
ghair-mumkin hai tere ghar ke gulabon ka shumar
mere riste hue zaKHmon ke hisabon ki tarah
yaad to hongi wo baaten tujhe ab bhi lekin
shelf mein rakkhi hui band kitabon ki tarah
kaun jaane ki nae sal mein tu kis ko paDhe
tera mear badalta hai nisabon ki tarah
shoKH ho jati hai ab bhi teri aankhon ki chamak
gahe gahe tere dilchasp jawabon ki tarah
hijr ki shab meri tanhai pe dastak degi
teri KHush-bu mere khoe hue KHwabon ki tarah
Ghazal
Gae mausam mein jo khilte the gulabon ki tarah
Parveen Shakir