gae manzaron se ye kya uDa hai nigah mein
koi aks hai ki ghubar sa hai nigah mein
hama-waqt apni shabih ke hun main ru-ba-ru
koi ashk hai ki ye aaina hai nigah mein
koi shahr-e-KHwab guzar raha hai KHayal se
koi dasht-e-sham sulag raha hai nigah mein
kaf-e-dard se gham-e-kaenat ki gard se
wahi miT raha hai jo naqsh sa hai nigah mein
koi tirgi hai furaat-e-jaan mein rawan-dawan
magar ek charagh sa tairta hai nigah mein
gae mausamon ki wo sabz rang hikayaten
koi aab-e-surKH se likh gaya hai nigah mein
Ghazal
Gae manzaron se ye kya uDa hai nigah mein
Aftab Hussain