gae hain jab se wo uTh ke yan se hai haal bahar mera bayan se
kahe koi itna jaan-e-jaan se milo nahin to gaya mein jaan se
jo kuchh guzarta hai mere dil par sunaun kis ko wo hae dilbar
KHuda kare phir wo din mayassar kahun main apni hi sab zaban se
kabhi KHafa ho ke baat karna kabhi wo kah kah ke phir mukarna
phir ulTa bohtan mujh pe dharna ye tarz tum ne liya kahan se
kabhi tere gham mein mujh ko rona kabhi phir aaphi hai chupke hona
jo yaad aata hai sath sona to raat kaTti hai kis fughan se
ghaDi ghaDi hijr ki hai bahaari dikhae surat KHuda tumhaari
sunun wo baaten piyari piyari ajab ada se ajab bayan se
tera KHafa ho ke ruTh jaana wo minnaton se mera manana
wo apni apni si kuchh sunana wo baaten bhi aap dil-sitan se
ajab hi dushman se dosti ki ki shakl ab hai ye zindagi ki
labon pe chakki hai jaan-kani ki paDe hain behosh nim-jaan se
kaha kuchh us ne yahan kisi se ye baat qasid nahin hansi se
guman hota hai aur hi se tere ulajhte hue bayan se
'nizam' kyun tu ne us ko chaha ye dil mein kya thi jo dil lagaya
jo dewe taufiq kuchh bhi maula to ab na milna kabhi butan se
Ghazal
Gae hain jab se wo uTh ke yan se hai haal bahar mera bayan se
Nizam Rampuri