gae dinon ke fasane suna rahi hai mujhe
ye raat aur bhi pagal bana rahi hai mujhe
ye dhundli dhundli si parchhaiyan hain ya KHilqat
uThae sang-e-malamat Dara rahi hai mujhe
khula wo ek daricha ghane daraKHton mein
wo sabz-posh hawa phir bula rahi hai mujhe
mujhe to chand kahin bhi nazar nahin aata
koi kiran si magar jagmaga rahi hai mujhe
mahak uThi hai achanak gali gali dil ki
kali kali se teri bas aa rahi hai mujhe
chaman chaman meri aawargi ke charche hain
nagar nagar koi aandhi uDa rahi hai mujhe
main zindagi ki saKHawat pe kanp uThta hun
ki be-daregh ye zalim luTa rahi hai mujhe
Ghazal
Gae dinon ke fasane suna rahi hai mujhe
Noor Bijnauri