gaDe mardon ne akasr zinda logon ki qayaadat ki
meri rahon mein bhi hail hain diwaren qadamat ki
nai kirnen purane aasman mein kyun jagah paen
wo kafir hai ki jis ne chaDhte suraj ki ibaadat ki
purani siDhiyon par main nae qadmon ko kyun rakhun
giraun kis liye chhat sar pe bosida imarat ki
tera ehsas bhi hoga kabhi meri tarah patthar
nikal jaegi aaine se parchhain nazakat ki
wo mera but tha jis ko main ne apne hath se toDa
ki barson ki ye mehnat ek lamhe mein akarat ki
agar hai nam ki KHwahish to diwaron pe chaspan kar
bana kar jhuT ke rangon se taswiren sadaqat ki
abhi sinon mein lahraate hain meri yaad ke parcham
abhi tak sabt hain mohren dilon par baadshahat ki
abhi sab harf taza hain mukarta kyun hai mani se
syahi KHushk bhi hone nahin pai ibarat ki
koi miThe phalon ki aas mein kyun talKH din kaTe
kise fursat hai 'sajid' aaj-kal sabr-o-qanaat ki
Ghazal
GaDe mardon ne akasr zinda logon ki qayaadat ki
Iqbal Sajid