gada-e-shahr-e-ainda tahi-kasa milega
tajawuz aur tanhai ki had par kya milega
siyahi pherti jati hain raaten bahr o bar pe
inhi tarikiyon se mujh ko bhi hissa milega
main apni pyas ke hamrah mashkiza uThae
ki in sairab logon mein koi pyasa milega
riwayat hai ki aabai makanon par sitara
bahut raushan magar namnak o afsurda milega
shajar hain aur is miTTi se paiwasta rahenge
jo hum mein se nahin aasaishon se ja milega
rida-e-reshmi oDhe hue guzregi mishal
nashist-e-sang pe har subh gul-dasta milega
wo aaina jise ujlat mein chhoD aae the sathi
na jaane baad-o-KHak-asar mein kaisa milega
use bhi yaad rakhna baad-bani saaton mein
wo sayyara kanar-e-subh-e-farda aa milega
chara-gahon mein ruk kar aasmani ghanTiyon ko
suno kuchh der ki wo zamzama-paira milega
usi ki wadiyon mein tairan-e-rizq-ju ko
nasheman aur ujli nind ka dariya milega
usi ja-e-namaz o raaz pe ek roz 'sarwat'
achanak dar khulega aur wo jhonka milega
Ghazal
Gada-e-shahr-e-ainda tahi-kasa milega
Sarvat Husain