اردو हिंदी
Gatha paDh kar aatish dhonki ganga se ashnan | Shaahi Shayari
gatha paDh kar aatish dhonki ganga se ashnan

Ghazal

Gatha paDh kar aatish dhonki ganga se ashnan

Ahmad Jahangeer

;

gatha paDh kar aatish dhonki ganga se ashnan
main ne har yug nazr guzari har piDhi mein dan

dhyan laga kar aankhen mundin baiTha ghuTne Tek
miTha lafz bhajan ban utra sachcha sher gunan

man dharti ko pesh-suKHan ke rang-birange phul
bhag bhari ko bhenT sunahre misre ka loban

saya sachchal shah ki ajrak raushan mir charagh
amrohe se uTh kar aae hum bagh-e-multan

sayyare par zardi utri dariya miTTi KHushk
hathi par haudaj kaswao nake par palan

ai dharti ke tyagi uTh kar ghor KHala mein baiTh
agli gaDi ki ghanTi tak tu hai aur rahman

farsh lapeTe tare jhaDe narsange ki phunk
palan-haara tu data hai kar jo chahe Than

manzar aab-o-tab sameTe shayad hai maujud
lams haqiqat aks mujassam aawazon par kan