gata raha hai dur koi hir raat bhar
main dekhta raha teri taswir raat bhar
taron ke TuTne ki sada gunjti rahi
hoti rahi hai raat ki tashhir raat bhar
suraj ne subh-dam mere panw mein Dal di
main toDta raha hun jo zanjir raat bhar
main KHamushi mein Dub ke kuchh sochta raha
kuchh bolti rahi teri taswir raat bhar
main chal paDa to kaT ke wo qadmon mein aa giri
laTki hai mere sar pe jo shamshir raat bhar
main so gaya 'rashid' to haala bikhar gaya
sujhi na koi chand ko tadbir raat bhar

Ghazal
Gata raha hai dur koi hir raat bhar
Rasheed Qaisrani