ganw rafta rafta bante jate hain ab shahr
qarya qarya phail raha hai tanhai ka zahr
mujh ko Dasta rahta hai bas har dam yahi KHayal
ek hi ruKH par kyun bahta hai dariya aaThon pahr
kaun sa bhula-bisra gham tha jo aaya hai yaad
rah rah kar phir dil mein uTThe dard ki miThi lahar
mera jite rahna bhi to ban gaya ek azab
lekin mera marna bhi to ho jaega qahr
lagta hai kuchh anhoni si hone wali hai
darham-barham hone ko hai jaise nizam-e-dahr

Ghazal
Ganw rafta rafta bante jate hain ab shahr
Shafiq Saleemi