gali sahi ada sahi chin-e-jabin sahi
ye sab sahi par ek nahin ki nahin sahi
marna mera jo chahe to lag ja gale se Tuk
aTka hai dam mera ye dam-e-wapsin sahi
gar naznin ke kahne se mana bura ho kuchh
meri taraf ko dekhiye main naznin sahi
kuchh paD gaya hai aankh mein rona kahe hai tu
kyun main abas ko bahsun yahi dil-nashin sahi
aage baDhe jo jate ho kyun kaun hai yahan
jo baat hum ko kahni hai tum se yahin sahi
manzur dosti jo tumhein hai har ek se
achchha to kya muzaeqa 'insha' se kin sahi
Ghazal
Gali sahi ada sahi chin-e-jabin sahi
Insha Allah Khan u0027Inshau0027