ghaaliban mere alawa koi guzra bhi nahin
teri manzil mein kahin naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin
aap ki rah mein duniya nazar aati hai mujhe
ek qadam aur jo baDh jaun to duniya bhi nahin
aap kya soch ke gham apna ata karte hain
himmat-e-dil to ba-qadr-e-gham-e-duniya bhi nahin
tum to be-misl ho tauhid-e-mohabbat ki qasam
tum sa kya hoga jahan mein koi mujh sa bhi nahin
hashr ki bhiD mein ek ek ka munh takta hun
is bhari-bazm mein ek jaanne wala bhi nahin
husn ne dawat-e-nazzara har ek rang se di
ishq ne aankh uTha kar kabhi dekha bhi nahin
ek tum ho ki tamannaon ke dushman hi rahe
ek main hun mujhe ehsas-e-tamanna bhi nahin
juzw-e-dil ban ke samati hai mohabbat dil mein
ye wo kanTa hai ki hai aur khaTakta bhi nahin
yaad aati hai 'saba' be-watnon ki kis ko
mujh ko yaran-e-watan se koi shikwa bhi nahin
Ghazal
Ghaaliban mere alawa koi guzra bhi nahin
Saba Akbarabadi