اردو हिंदी
Gaj har dil pe gire to kya karen kis se kahen | Shaahi Shayari
gaj har dil pe gire to kya karen kis se kahen

Ghazal

Gaj har dil pe gire to kya karen kis se kahen

Jatinder Vir Yakhmi u0027jayaveeru0027

;

gaj har dil pe gire to kya karen kis se kahen
mal-o-zar apna luTe to kya karen kis se kahen

chhoD den duniya nahin aisa koi bandhan magar
umr ke is daere ko kya karen kis se kahen

yun to hai mauqa naya naghma bane dilkash koi
dhun wahi har saz pe ho kya karen kis se kahen

dukh kaTe zahmat kaTe kaT jae bad-hali sabhi
waqt kaTe na kaTe to kya karen kis se kahen

is zamin se aasman tak hai bala ki raushni
ban ke aatish dil jale to kya karen kis se kahen

hum tabah hain to sarasar ghair pe ilzam hai
ghair bhi apna lage to kya karen kis se kahen

josh bhi tha walwale bhi kar guzarne ke magar
bas na kuchh apna chale to kya karen kis se kahen