gahe gahe wo chale aate hain diwane ke pas
jaise aati hain bahaaren saj ke virane ke pas
parsai shaiKH-sahab ki bhi ab mashkuk hai
sham ko dekha hai hum ne un ko maiKHane ke pas
ranj-o-gham afsurdagi mayusiyan majburiyan
tere gham mein kya nahin hai tere diwane ke pas
gulsitan kaise jala kuchh kah nahin sakta magar
barq lahrai thi shayad mere kashane ke pas
main wo kafir hun nahin milta kahin jis ka jawab
main ne masjid apni banwa li sanam-KHane ke pas
main teri mahfil mein aaya kuchh nahin meri KHata
log aa jate hain aksar jaane-pahchane ke pas
ho gae 'jaanbaz' wo meri wafa ke mo'tarif
tazkira karte hain mera apne begane ke pas
Ghazal
Gahe gahe wo chale aate hain diwane ke pas
Satyapal Janbaz