اردو हिंदी
Gahe gahe jo idhar aap karam karte hain | Shaahi Shayari
gahe gahe jo idhar aap karam karte hain

Ghazal

Gahe gahe jo idhar aap karam karte hain

Insha Allah Khan u0027Inshau0027

;

gahe gahe jo idhar aap karam karte hain
wo hain uTh jate hain ye aur sitam karte hain

ji na lag jae kahin tujh se isi waste bas
rafta rafta tere hum milne ko kam karte hain

waqai yun to zara dekhiyo subhan-allah
tere dikhlane ko hum chashm ye nam karte hain

ishq mein sharm kahan naseh-e-mushfiq ye baja
aap ko kya hai jo is baat ka gham karte hain

galiyan khane ko us shoKH se milte hain han
koi karta nahin jo kaam so hum karte hain

hain talabgar mohabbat ke miyan jo ashKHas
wo bhala kab talab-e-dam-o-diram karte hain

ain masti mein hamein did-e-fana hai 'insha'
aankh jab mundte hain sair-e-adam karte hain