اردو हिंदी
GaDi ki khiDki se dekha shab ko us ka shahr | Shaahi Shayari
gaDi ki khiDki se dekha shab ko us ka shahr

Ghazal

GaDi ki khiDki se dekha shab ko us ka shahr

Zahid Farani

;

gaDi ki khiDki se dekha shab ko us ka shahr
chaaron or tha kala jangal bich mein ujla shahr

yaad na aata kyun ganw mein hum ko bhi lahore
log samundar-par na paen is se achchha shahar

sach hai har ek mulk KHuda ka des hai har insan ka
lekin apna shahr hai yaro aaKHir apna shahr

KHwab mein sun kar jag uThta hun un ki chiKH-pukar
uf wo laDte marte basi uf wo jalta shahr

poshida hain dil mein us ki yaadon ke tufan
dafn hain ek khanDar ki tah mein kitne zinda shahr

mujh par ek ghanghor udasi tujh par rang aur nur
mera chehra ban hai pyar se tera chehra shahr

kal ki baat hai aur thakan se ab tak chur hun main
us laDki ka jism tha 'zahid' uncha-nicha shahr