ga raha hun KHamushi mein dard ke naghmat main
ban gaya ek sahil-e-viran ki tanha raat main
ek do sajde zara shahr-e-nigaran ki taraf
ai gham-e-hasti Thahar chalta hun tere sath main
zindagi meri tamannaon mere KHwabon ka rup
phul main hun rang main hun abr main barsat main
ek shagufta dard ek shoalon mein bujhti chandni
ajnabi shahron se laya hun yahi saughat main
barha is sadgi par KHud hansi aai mujhe
kar raha hun kis zamane mein wafa ki baat main
har ubharti lau se raushan ho gaya mera 'zamir'
bik gaya har muskuraati raushni ke hath main
Ghazal
Ga raha hun KHamushi mein dard ke naghmat main
Syed Zameer Jafri