fuzul shai hun mera ehtiram mat karna
faqat dua mujhe dena salam mat karna
kahin ruke to na phir tum ko rasta degi
ye zindagi bhi safar hai qayam mat karna
wo aashna nahin KHwabon ki manawiyyat ka
hamare KHwab abhi us ke nam mat karna
zaban munh mein hai tar-e-gunah ki surat
tumhaara hukm baja hai kalam mat karna
mera wajud ki hai dana-e-qanaat sa
main ek faqir parinda hun dam mat karna
ye baat sach hai yahan guftugu awam se hai
magar adab ko guzargah-e-am mat karna
'faza' charagh-o-shafaq donon rahzanon ki mataa
jo KHair chaho to raste mein sham mat karna
Ghazal
Fuzul shai hun mera ehtiram mat karna
Faza Ibn e Faizi