fuzul raaz mohabbat ka sab chhupate hain
bujhae jo na bujhe aag wo bujhate hain
main jitna rah-e-mohabbat se haTta jata hun
wo utne hi mere nazdik aae jate hain
sambhaal jazba-e-KHuddari-e-dil-e-mahzun
kisi ke samne phir ashk aae jate hain
tumhaare husn ke jalwaon ki shoKHiyan tauba
nazar to aate nahin dil pe chhae jate hain
hazar husn ki fitrat se ho koi aagah
nigah-e-lutf ke sab hi fareb khate hain
shikasta dil hi ke naghme to hain wo ai 'jazbi'
jinhen wo sunte hain aur jhum jhum jate hain
Ghazal
Fuzul raaz mohabbat ka sab chhupate hain
Moin Ahsan Jazbi