furqat ki bhayanak raaton ko is tarah guzara karta hun 
dil mujh ko pukara karta hai main tum ko pukara karta hun 
ab un ke tasawwur se main ne andaz-e-junun bhi sikh liye 
har KHar se baaten karta hun har gul ko ishaara karta hun 
ye rang-e-junun-e-ishq hai kya is rang-e-junun ko kya kahiye 
main jis se mohabbat karta hun KHud us se kinara karta hun 
KHamosh fazaen dekhti hain ya chand sitare sunte hain 
jab yaad mujhe tum aate ho jab tum ko pukara karta hun 
saqi ki nigah-e-mast mujhe jab yaad 'shamim' aa jati hai 
us waqt hi apne taq se main shishon ko utara karta hun
        Ghazal
Furqat ki bhayanak raaton ko is tarah guzara karta hun
Shamim Jaipuri

