furqat ki aafat bure din kaTna sal hai
ye hath hai so kare ye sina ghaDiyal hai
rota hun sham-o-sahar TukDe hai gham se jigar
bedard kuchh rahm kar mera bura haal hai
bechain kahan dil-e-saman yaqub ka hai maqal
jins-e-wafa ka hai kal kanan mein haT-tal hai
resham ke lachchhe hain baal maKHmal ke TukDe hain gal
hai ye nazakat ka haal patli kamar baal hai
aashiq bache ta-ba ki kali bala hai ye shai
kakul ka jo halqa hai muzi ka changal hai
kyun aae hum ai pari halchal mein hai zindagi
aafat hai tere gale aandhi hai bhaunchaal hai
phulon mein rangat na bu sabze ko kuDa kaho
pa-e-KHizan qata ho gulzar paemal hai
dil nazar jis ne kiya Thukra ke us ne kaha
leti hai meri bala dargor kya mal hai
har-dam na dekh us ke baal sar par na le ye wabaal
ji ko bala mein na Dal ai dil ye janjal hai
raftar kahiye use dil har qadam par pise
puchhe koi kabk se sadqe ajab chaal hai
kya kahiye kya gham saha din-raat rota raha
dil KHun ho kar baha rangin rumal hai
ushshaq ka hai ye haal din-raat hai haal-e-qal
aah-o-fughan hai KHayal-e-sina-zani tal hai
saut jafa-kesh hai aashiq jigar-resh hai
abru hai ya nish hai bichchhu hai ya KHal hai
hai kuchh na kuchh to ba-jog nahaq nahin hai ye birog
kaisa laga ji ko rog ai 'bahr' kya haal hai
Ghazal
Furqat ki aafat bure din kaTna sal hai
Imdad Ali Bahr