furqat ka fusun phail gaya sham se pahle
anjam nazar aata hai anjam se pahle
hum jaur-o-sitam sah ke bhi shikwa nahin karte
aur morid-e-ilzam hain ilzam se pahle
is waste sine se lagaya hai tera gham
milti nahin rahat kabhi aalam se pahle
ai dost gawara hai mujhe ishq mein sab kuchh
kuchh aur bhi kah lijiye badnam se pahle
taslim hai ruswai sabab is ka hua kaun
aankhon mein nami aai tere nam se pahle
kho baiTha hun sab hosh-o-KHirad ek nazar mein
aisa hi KHumar aaya mujhe jam se pahle
didar ke talib the 'nazar' ho gae mahrum
diwar thi ashkon ki dar-o-baam se pahle
Ghazal
Furqat ka fusun phail gaya sham se pahle
Nazar Barni