furaat-e-fasila se dajla-e-dua se udhar
koi pukarta hai dasht-e-nainawa se udhar
kisi ki nim-nigahi ka jal raha hai charagh
nigar-KHana-e-aghaz-o-intiha se udhar
main aag dekhta tha aag se juda kar ke
bala ka rang tha rangini-e-qaba se udhar
main rakh ho gaya taus-e-rang ko chhu kar
ajib raqs tha diwar-e-pesh-pa se udhar
zamin mere liye phul le ke aati hai
bisat-e-marka-e-sabr-azma se udhar
ye mere honT samundar ko chum sakte hain
hikayat-e-shab-e-afrad-o-aina se udhar
Ghazal
Furaat-e-fasila se dajla-e-dua se udhar
Sarvat Husain